bikhar jaati hai jab duniya, to woh guldaan mein murjhaaye phool bhi ache lagne lagte hain. arunima un sookhe phoolon se hi khushiyaan banana seekh gayi thi. kabhi gaur se dekhoge to baazaar mein gajre milte hain jo arunima ne banaye they. log andekha kar dete hain.. simit si khushiyaan koi nahi chahta. arunima ek antheen nadi mein naav ki tarah ji rahi hai. aur ab toh kayi saal se barsaat bhi thik se nahi hui. jal star pe nirbhar khushiyaan kitne sookhe mausam bina toote rah sakti hain? main nahi jaanta. par maine use kareeb se guzarte dekha hai. ek hansi rahti hai arunima ke chehre par. shayad usse pata hai kitne mausam baaki hain.
No comments:
Post a Comment