Tuesday, January 4, 2011

Meri Kavita ke Arth

Aaj shayad main kuch aisa na likhoon
jise padhkar aapko lage ki kavita ke maayne
kitne sach hain, in shabdon mein.

Kavita ek zariya bas hai ek kahaani sunane ka.

Main kyun likhun woh sach jo vastvikta pe pachtaye
main kyun likhun woh shabd jo mujhe hi takraye.

Hua hai aisa bhi jab shabd saamuhik shoshan karte hain
vichaar dabi awaaz mein bhi kuch kahne se darte hain,
phir kyun main aas lagaaun apni baat badhaane ki
panktiyaan aise kyun banaaon jinme kshamta ho dhah jaane ki.

Yahi sach hai ki shabd khokhle bhi hote hain
meri bhaavnaon ke arth jhoothe bhi hote hain.

No comments:

Post a Comment